Back to Blog

Newsletter 8 - AI ka matlab kya hai?

AI = Another Indian? Twelfth Fail, new stats page, and poetry!

Posted by

Join our newsletter

Get the latest updates straight to your inbox.

Subscribe

Switch between languages

Switch languages

In today's newsletter
  • 🤝 DC AI Collective adventures (AI = Another Indian!)
  • 📚 Twelfth Fail but IRL
  • 🛠️ Stats Page + XP metrics
  • 🎯 70 users & Top 3 shoutout
  • 🐯 Shayari corner
Ammar Syed Ali
Is sawal ke peeche laga main, jaise koi khoji ya jaasoos apne mission pe nikalta hai. Shamil hua DC ke AI Collective mein – ek aisa samooh jahan sirf developer hi nahi, balki product manager, CEO, chai ki dukaan ke visionary aur sab log maujood the. Har koi AI ke naam se kuch na kuch dilchasp leke aaya tha.

Main socha, chalo dekhenge, kaun kaun hai is caravan mein. Logon se mulaqat ki, haath milaye, dimaag milaye, jaise log karte hai aise networking events mein.

Wahan jaane se pehle hi mereko andaza tha ki desi log zaroor milenge.

30 log event mein, aur dekha 15 India se!

Aur tab samajh aaya – bhai, is room mein toh kam se kam pandrah Indian log the! 😄

Tabhi samajh aaya AI = “Another Indian” 🧠🇮🇳

(Lekin sun, yeh mazaaq mera nahi hai – credit jaata hai Twitter)

— Ammar Syed Ali
Ammar Syed AliFounder & Developer
📚 Is Hafte Ki Practice – Twelfth Fail but IRL
Agar 12th Fail ko nahi dekhe, toh koi baat nahin bina spoilers mein tum logon ko jaldi batatun. Yeh film ka hero, ek gharib, gao wala banda, tay karta ke officer banega. Banane ke liye Bharat ki Civil Service exam likhna hai jo bohot mushkil aur competitive hoti hai kyun ki lakhon aur croreon log bahut kam vacancies ke liye sarkari naukri paane ki koshish karte hain.

Woh ek achi film hai, lekin yeh kahani croreon bache ke reality hoti hai. Aaj kaal bohot saare log sarkari mulaazimaat chaate kyunki in naukriyon mein status bhi milta hai aur paisa bhitaaki apne aap aur apne parivaar ko gareebi se nikaal saken. Agar is maasle ke baare mein aur seekhna chaare, toh yeh Al Jazeera documentary zuroor dekho, kyunki is masle ki ek badi wajah overpopulation hai aur yeh 22-minute ki film is mudde ko achhe tareeke se dikhati hai

Bohot saare bache yeh khwab mukamil karne ke liya apne jawaan saalon ko qurbaan kar dete hain – yeh dekh kar dil ko afsos hota hai.e.

Puri film dekhne ke baad mujhe likho – is bare mein kya soch rahe ho? Mujhe email karo – tumhare jawaab agle newsletter mein share karenge!
🛠️ Development Updates
Stats Page Launch
Poore tum logon ki progress ab track hoti hai hamare naye Stats Page mein!
Yahan pe do-teen metrics milenge, jisse tumhein nazar aayega ke kitni mehnat (ya thodi kam 😜) kar rahe ho!

Quiz History
Kya tum quiz complete karne ke baad usko dobara dekhna chahte ho?
Toh ab woh bhi possible hai! Stats Page mein jaake sirf “Quiz Details” button pe click karo – purane quizzes neeche show honge.

XP and Leaderboards
Aur haan – ek naya metric bhi aaya hai: XP!
Ji haan, agar tum vocabulary review aur quizzes karte ho, toh XP milta hai. Agle release mein tum apna Daily XP Goal set kar paoge – aur haan, leaderboards bhi aane waale hain! 🏆

Yeh screen hum regularly update karte rahenge – abhi shayad thoda basic lag raha ho, lekin jaldi hi ekdum mast look milega.

What's Next?
Aur next naye features kya hain?
Voice Practice, aur Chat screen mein thoda aur structure laane ka plan hai – so stay tuned!
🎯 Milestones / Community Corner
70 users! OMG! Saab logon ko bohot bohot shukriya aur dhanyawaa! Pichhle newsletter ke baad se 11% barh gaya

🏆 Top 3 Users:

Dzkidwai

ea7malik

Raghavtyagi


Aap teeno ka special shukriya 🎉
🐯 Chhote Sher, Shayari
Yeh poem ek Reddit user u/No-Ask-5438 ne share kiya tha – aur hum soch rahe the, yeh aap sab ko bhi padni chahiye. Thodi gehrai hai, lekin ekdum simple lafzon mein.
Title: "Marna"

Aadmi
Marne ke baad
Kuch nahi sochta.

Aadmi
Marne ke baad
Kuch nahi bolta.

Kuch nahi sochne
Aur kuch nahi bolne par
Aadmi
Mar jaata hai.
Aap log bhi kuch likhte ho toh bhejo – agle newsletter mein daal denge! 💌