Back to Blog

Newsletter 6: Daadi ke Jazbaat, Junagadh ke Rang, aur Naye Script Tricks!

Family stories, Junagadh's colors, and new script learning tricks for Desi Dictions.

Posted by

Join our newsletter

Get the latest updates straight to your inbox.

Subscribe

Switch between languages

Switch languages

In today's newsletter
  • 👵 Daadi ne yaad dilaya: apni zubaan seekho.
  • 🎬 Is hafte: Miniaturist of Junagadh dekho.
  • 🔧 Web pe tri-script toggle aur word meanings newsletters mein hai!
Ammar Syed Ali
Is weekend ek khaas dawat pe gaya — mere chhote bhai (matlab ammi ki khaleri behan ka beta) ki graduation party thi! Celebration toh tha hi, lekin sabse yaadgar moment meri mulaqat unki daadi se thi — ek chhoti, pyaari daadi jo bachpan mein Burma se India migrate hui thi.
Baithak mein unse baat hui, aur baat baat mein unhone ek dard bhari baat kahi:
“Mere dono pota poti ko Hindi-Urdu bilkul nahi aati…”
Unki aankhon mein ek halka afsos tha — jaise kuch ankahe rishtay door ho rahe ho.
Phir unhone meri taraf dekha, muskurai, aur bola:
“Un jaise bache ko sikhaana chahiye!”
Us moment ne mujhe touch kiya.
Toh aap sab se bas yeh kehna hai — DesiDictions mein padho ya mat padho, lekin agar tumhare ghar ke badhe log angrezi mein baat nahi karte, toh unki zubaan seekhna mat bhoolna.
Zubaan sirf alfaaz nahi hoti, yaadein hoti hain, rishtay hote hain.
Ammar Syed AliFounder & Developer
📚 Is Hafte Ki Practice – Movie Dekhna!
Ji haan doston, is hafte ki language practice thodi hatke hai — ek chhoti film dekhni hai!
Aur best part? Agar aap yeh film nana-nani, daada-daadi ke saath dekho, toh unka bhi dil khush ho jaayega (lekin sirf agar unhe Partition ke dauran zinda the).
🕒 Duration: ~30 minutes
🧳 Theme: Partition, family, memory, aur identity
Yeh film ek aise waqt ki tasveer dikhati hai jab logon ko apne ghar, apni zubaan, aur apni pehchaan ke tukde karne padte the. Gehri baat hai, lekin film isey narmi aur khoobsurti se dikhati hai — bina lecture diye.
Zyada spoilers nahi — bas yeh kehna kaafi hai:
Jab waqt mile, dekho.
Phir neeche wale comprehension questions complete karo.
Question 1 of 3
Husyn ka parivaar apna ghar bech kar kahan migrate karne ki tayari kar raha hai?
🤖 Dev Updates!
Naye naye cheezein aa rahi hain dooston! Agar tum curious ho ke agle dinon mein DesiDictions mein kya hone wala hai, toh Roadmap page check karo — sab likha hua hai.
Aur haan, ek kaafi khaas naya feature quietly drop ho gaya hai:
Ab humara newsletter website pe tri-script format mein bhi available hai!
💡 Yaani kya?
Agar aap sirf email mein padh rahe ho, toh shayad miss kar gaye ho — web version pe ab aap Hindi, Urdu, aur Roman script click se switch kar sakte ho.
💬 Yeh feature abhi early stages mein hai, lekin aainda proper lessons mein bhi yeh interactive script toggle aa raha hai.
So if you're learning — yeh tool must try karo!
🎯 Milestones / Community Corner
58 users! 4% more users than last week! Have a friend interested in the product? Share them this email!