Back to Blog

Newsletter 7 - America ka saalgirah & Frontier Gandhi

July 4th ke patakhon ya Nizamabad ka?

Posted by

Join our newsletter

Get the latest updates straight to your inbox.

Subscribe

Switch between languages

Switch languages

In today's newsletter
  • 🎆 July 4th ke patakhon ya Nizamabad ka?.
  • 📚 Frontier Gandhi.
  • ⚡ Quick Quiz page & Reading passage tool!
Ammar Syed Ali
America ki saalgirah do hafte pehle hui thi. Aur hum jaise log jo Washington DC mein rehte, ek zabardast celebration dekh sakte hain.
Mere chote mama ne mere biwi, bhai, mein, aur behen ko dawat di, aur apne chhat pe bulaya — taki hum poore sheher ke patakhon har taraf se dekh saken.
Ek taraf National Mall ka show tha, doosri taraf Arlington ka.
Bada hi maza aaya hum sab ko!
Lekin is ke dauran, India ki ek yaad aa gayi.
Hum Nizamabad mein mere Dadaa ke ghar the. Wahaan poore pariwar— chache, maasiyan— sab ek hi ghar mein rehte the.
Bina kisi khaas wajah ke, Ajju chacha dinner ke baad achanak aaye, aur saath mein patakhe bhi le aaye.
Hum sab sadak pe nikal gaye, ghadiyan rok di, aur us choti si gali mein — buildings aur power lines ke beech — mere chhote aur bade cousins ke saath "Ooo!" "Aah!" keh rahe the.
Sab haas rahe the jab motorcyclists bina dekhe patakhon ke upar se nikal gaye.
Pata nahi bhai, lekin woh patakhe… July 4th se zyada memorable thi!
— Ammar Syed Ali
Ammar Syed AliFounder & Developer
📚 Is Hafte Ki Practice – Frontier Gandhi!
Poora dunya Ghandi-ji ko malum hai, lekin “Sarhadi Gandhi” kaun tha? Ji-han dooston, ek Frontier Gandhi tha jo (you guessed it) British India ke frontier provinces mein azadi ke liye ladhe the.
Is ka naam Abdul Ghaffar Khan aka Bacha Khan, aur pashtun provinces mein (aaj ke dino shumali Pakistan / Afghanistan) ek non-violent movement banya, bilkul jaise Gandhi ki movement.
  • Khudai Khidmatgar (Servants of God) party banayi.
  • Non-violent protests ke bawajood brutal repression face ki.
  • Dosti Gandhi se pakki thi; Partition ke khilaaf the.
Koi quiz-wizz maat kar is baar. Documentary dekho, notes banao, aur apne doston ko batao.
🤖 Dev Updates!
🚀 Quick Quiz Page
— Fatafat quiz banao bina chatbot ke. Bas concept, difficulty, aur question type daalo, aur turant quiz taiyaar!
  • Fill-in-the-blank
  • Best English Translation
  • Best Urdu/Hindi Translation
Ye sab chat page par bhi chal sakta hai: "Make me a quiz about causative verbs…"
📖 Fill-in-the-Blank Passage Tool
— Reading, vocab, aur grammar practice ek jagah. Command: 👉 “Can you make me some reading practice?”
🛠️ Coming soon: gamification & stats to track progress across chats, quizzes, aur flashcards.
🎯 Milestones / Community Corner
63 users! 9% more users than last newsletter! Have a friend that might be interested in the product? Share the newsletter!